Islam aur Hindu dharm me kuch yaksa baatein



1. Gyani log ek Ishwar ko alag alag namo se pukarte hai.
-Rigveda 1:164:46


Keh do tum Allah keh kar pukaro ya Rehman keh kar pukaro Use jo bhi keh kar pukaro , uske sabhi ache naam hai.
-Quran 17:110


2. Ishwar ke vidhaan nahi badalte.
-Rigved 1:24:10


Allah ki baato me koi parivartan nahi hua karta.
-Quran 10:64


3. Rishiyo ke duwara Stutiye (pujye) Parameshwar ne parasper jude hue praachin Aasmaan aur Prithvi ko alag alag kiya phir uttam karm wale ne surye ke saman un dono ko Isthit kiya.
-Rigveda 1:162:7


Kya inkaar karne walo ne nahi dekh liya ki ye Aasman aur dharti pehle paraspar jude hue the phir humne unhe alag alag kiya.
-Quran 21:30


4. Is sansaar ke banana wale ke liye stuti hai.
-Rigveda 5:81:1


Stutiyo ka paatr Allah hi hai jo sab sansaro ka prabhu hai.
-Quran 1:1


5. Jo denewala aur dayawan hai.
-Rigveda 3:34:1 


Jo aseem kirpawan aur dayawaan hai.
-Quran 1:2


6. Humko hamare kalyaan ke liye sadmarg par le chal.
-Yajurveda 40:16


Hey parmeshwar hamara seedhe raaste ki or margdarshan kar. 
-Quran 1:5


7. Woh Ishwar saare jagat ko bhali prakar janta hai.
-Rigveda 10:187:4


-Aur Allah aasmano aur dharti me jo kuch hai use janta hai, Allah har vastu ka gyaan rakhta hai.
-Quran 49:16

8.Ishwar ke niyam koi nahi badal sakta.
-Artharvved 18:1:5


Aur tum Ishwar ke vidhan me koi parivartan nahi paoge.
-Quran 48:23


9. Sansaar ka srishta aage, peeche, upar, neeche sab jagah hai.
-Rigved 10:34:14


So tum jidhar bhi munh karo udhar hi Allah ka rukh hai, beshak Allah bada sarv vistrit aur janne wala hai.
-Quran 2:115

10. Chandrama sahit yeh sab nakshatr usi ke wash me hain.
-Artharvved 13:428

Usine peyda kiye surye, chaand aur tare, (ye) sab uske aadesh ke adheen hai.
-Quran 7:54